Wikipedia

Search results

Friday, 19 January 2018

Hadees Shareef


♥ Al-Quran: Agar Allah Tumhari Madad kare to koi tumpar Galib aa nahi sakta, aur agar woh tumhe chorr de tou fir koun hai jo uske siwa tumhari madad kar sake, tou Imaanwalo ko Chahiye ke Allah hi par Bharosa rakhe" - (Surah Aale Imran:…


♥ Al-Quran: “Kya Tumhe Pata Nahi Ki Aasmano aur Zameen Ki Badshahi Allah Hi Ki Hai, aur Allah Ke Siwa Tumhara Koi Bhi Himayati aur Madad Karne Wala Nahi Hai.” –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Karz Ke Ada Karne Mein Deri Karna Zulm Aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari.



♥ Mafhum-e-Hadees: RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai, Gaay ka Dhoodh istemaal kiya karo, kyun ke us ke dhoodh me har bimaari se shifa(cure) hai. - (Mustadrak: 2147)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alahi wasallam) farmate hai, "Tum me se sab se acche log wah hai, jo Qarz ki adayegi ke muamle me acche ho" - (Muslim, Hadees: 4195)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Rahmat ho uss Bande par jo Bechney, khareedne aur Apna Haq Wasool karne me Narmi Ikhtiyar kare” - (Bukhari, 2076)
♥ Mafhum-e-Hadees: RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai, Jab kisi ko (Halal Riqz ka) koi Zariya mil jaaye to woh Us ko (khushi se) Ikhtiyaar kar le (Chaahe kum hi kyun na ho). - (Ibne Maaja: 2147)

♥ Mafhum-e-Hadees: RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai, "Jo Shakhs Rishtedaro ka Haq Ada karne ke liye Sadqe ka Darwaaza kholta hai tou Allah Ta'ala us ki Doulat ko badha deta hai" - (Musnade Ahmad: 9624)

No comments:

Post a Comment

Being Single

April Fool's Day 2021 : 30+ Awesome Jokes & Messages with articles

April Fool’s Day 2021:   Every year, April 1 is celebrated as April Fool’s Day. It is an annual custom where people crack jokes, play pranks...